Ticker

6/recent/ticker-posts

Munawwar Meri Ankhon Ko Lyrics

 Munawwar Meri Ankhon Ko Lyrics



Munawwar meri aankhon ko 
Mere Shamso-dduha kardey 
Gamon ki dhup mein woh 
Sayae zulfe dutaa kardey 


Jahan-bani ata karde 
Bhari jannat hiba kardey 
Nabi Mukhtar-e-kull hey 
Jisko jo chahain ata karde 


Jahan mein unki chalti hai 
Wo dam mein kya se kya kardein 
Zameen ko aasman karde 
Surayya ko sara karde 


Faza main udne wale yhun 
Na itraaein nidaa kardey 
Wo jab chahain jise chahain 
Use farmaan-rawa kardey


Nabi se jo hai be-gaana 
Use dil se juda kardey 
Pidar Madar Biradar 
Jaano maal un par fida kardey 


Suraka ko bhi sone key to 
Woh kangan ata kardey 
Nabi Mukhtar-e-kull hey 
Jisko jo chahain ata karde 


Ata karde bula kar dey 
Bitha kar de utha kar dey 
Nabi Mukhtar-e-kull hey 
Jaise jab chahe ata kardey 


Jahan mein aam paygam e shahe 
Ahmad Raza kardey 
Palat kar pichhe dekhey 
Fir se Tajdeed e wafa kardey 


Khataein karne wala main 
Ataein karne wale aap 
Mere Aaqa mere haq main 
Ise dastur saa kardey 


Khayale hazrate Hassan sey 
Ham naatein sajate hain 
Kami reh jaaye to puree 
Bareli ke Raza kardey 


Muje kiya fikr ho Akhtar 
Mere yaawar hain woh yaawar 
Balaon ko meri jo khud 
Giriftare balaa karde 


Tamannae dil e Ashraf 
Bas itni hai sare Kausar 
Jab Aaqa jame kausar dey 
Labe Akdas laga kar dey



Post a Comment

0 Comments